Sunday, July 30, 2006

Dil Ki Ankahee



Dil bas chupke se sunta hai
Kuch bhi kehne se darta hai
Is duniya ki har galti mein
Bewak shamil hota hai

Num aankhon se bas
Kuchch apne gam baant leta hai..
Apna bojh halka kar leta hai..

Tanha woh kisiki talaash mein
Har dil ko apnana chahta hai
Par bezuban yeh dil
Humrahi ke intezaar mein,
Raah mein gumsum sa khada reh jata hai

Kabhi kabhi sannate mein uski sisak sunai de jaati hai
Aankhon mein tab uske dard ki jhalak nazar aati hai

Jhooti dilaasa dekar , is dil ko behlate hain
Uski ankahee ko ansuni karne ki hum roz lakh koshishe karte hain

Ab yeh haal hai …

Ki hum bhi khamosh hain
Dil bhi khamosh hai…

2 comments:

humbl devil said...

jo mera ho nahi payegaa ... is jahan mein kahiiin ...
rooh bankar milunga usko .. aasmaaa mein kahiiin
pyaar dharti par farishton se.. kiya nahi jaata ...
khoobsurat hai vo itna ..saha nahi jaata ...

humbl devil said...

this was what one of my blogfrends wrote to me after readin one of my poems...

hang in thr...buddy

Octpowrimo - #11 - Connect

crowded queues varied views tragic news! I seek to escape... need to over-generalize. Each viewpoint - its own faded hue orange, reds and bl...