
saanjh ki nami mein
saason ki baarish
simte hue ek pal mein
afsaano si khwaish..
dubte hue suraj si
dhalti hui aankhen
bheege un lamhon mein
thehar jaane ki khwaish..
girte hue patton ki
sehmi si sarsarahat
jannat ki is mehfil mein
ghar basane ki khwaish..
har saanjh mein, ek pal
ek pal , ek lamha
ek lamha yun jismein
poori zindagi jee lene ki khwaish..
