
khwabon mein ulajhte chehre,
lehrate, nachte,
sunehere badlon se hote hue,
woh panchi.. unke gharonde.
neele aasman mein
tairti machliyan
bhigoye hue sooraj ke
sookhte hue kapde
sach hai yeh sirf khwab hi hai
par dekha hai maine ise
aap hi ne dikhaya hai
is ek kahani mein, ek saaz piroya hai
taare yun roz aate nahi zameen par
darsheel, aamir
aapne ek nayi duniya ka yeh
dwaar khola hai
ab yahan khayalon mein,
roz koi aayega
aur nayi kahanaiyon se
ise aur sajayega.