
zamane ki soch mein ... na jane hum kahan hain!
humari nazar mein lekin
yeh zamana jawan hai..
nayi khasiyat, naye khayalat hain
par is boodhi zameen ke dil mein
koi humara kahan hai?
tanhaiyon ke pul hain
akelepan ke kamre
nadaniyon ke charche
aur majbooriyon se kharche!
aaj ek pal ke liye har fasana jawan hai
par har jawan pal ka yeh fasana kahan hai?
aasuon ke katghare mein jo khada hai zamana ..
to use faisla sunane wale jasbaat kahan hai..